Kashinath Song Information
Song: Kashinath
Album: Kashinath
Singer: Piyush Bhatt
Music: Narci
Lyrics: Narci
Year: 2024
Label: Narci
Kashinath Song Lyrics In English
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar,
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar.
Kisko ja ke bolun main haal mera,
Ja ke bolun main haal mera,
Main kisko puchhun sawal.
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar,
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar.
Kuch aise meri aashaon ko nocha tha,
Prabhu jaisa kabhi sapne me na socha tha,
Toota aisa hu ki darta hu bharose se,
Siva tere raha kisi pe bharosa na.
Roti aankhein meri kisi ne bhi paunchi na,
Dil ko seeta lagta main akela mochi haan,
Khada aage tha main dil liye choton bhara,
Tere jaap mein hi aushidhi bhi khoji haan.
Aage rakha maine mere jazbaaton ko,
Tune dekha meri sari roti raaton ko,
Maine dekha tere naam lete log par,
Kshama karo prabhu wohi tode waadon ko.
Jhoothe waadon ki hi lagti dil pe thes par,
Karta yachika hu prabhu nyaay pesh kar,
Tere praaniyon ki bachi na pehchaan mujhe,
Liye chehre dus ab saare hi lankeshwar.
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar,
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar.
Toota dil ye main leke ghumun kahan,
Dil ye main leke ghumun kahan,
Ab dil ye lena sambhaal.
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar,
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil me peeda ka bhaar.
Dil ye toota mera jaap me hi laga hai,
Khaa ke dhoka tere pairo pe hi jaga hai,
Aur nahi mujhe rehna tere logon mein,
Siva tere yahan koi nahi saga hai.
Mahadev ye na duniya mujhe samjhegi,
Kaise toda dil ko dekha ye to tumne bhi,
Saza mil rahi hai mujhe us baat ki,
Galti jo kabhi na prabhu waise humne ki.
Ab bhi zinda hoon main seh ke yahan dhokno ko,
Prabhu dil ki peeda thodi si ye roko to,
Bure bhi kare dhyaan tera bhole fir,
Kaise nyaay mile prabhu sacche logon ko.
Jhoothe waadon ki hi lagti dil pe thes par,
Karta yachika hoon prabhu nyaay pesh kar,
Tere praaniyon ki bachi na pehchaan mujhe,
Liye chehre dus ab sare hi lankeshwar.
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil mein peeda ka bhaar,
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil mein peeda ka bhaar.
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil mein peeda ka bhaar,
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil mein peeda ka bhaar.
Kisko jaa ke bolun main haal mera,
Jaa ke bolun main haal mera,
Main kisko puchhun sawal.
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil mein peeda ka bhaar,
Hey kashinath suno meri,
Bhara hai dil mein peeda ka bhaar.